Sar Mera KaT Ke Pachhtaiyega
sar mera kaT ke pachhtaiyega
kis ki phir jhuTi qasam khaiyega
tham lun dil ko zara hathon se
abhi pahlu se na uTh jaiyega
kahiye yaran-e-adam kya guzri
kuchh lab-e-gor se farmaiyega
yusuf-e-husn agar gham hoga
aap yaqub nazar aaiyega
kar ke isbaat-e-dahan kijiye wasf
dekhiye munh ki abhi khaiyega
kam bhi dene mein bahut faeda hai
bosa ek dijiye das paiyega
KHat pe KHat likhiyega ai shah-sawar
ghoDi kaghaz ki bhi dauDaiyega
mardum-e-chashm se aae jo hijab
aankh ke parde mein chhup jaiyega
kya gareban ne gala ghonTa hai
idhar ai dast-e-junun aaiyega
kah ke panw se chale yar ke ghar
hum jo uThne lagen so jaiyega
kah ke ye tum ho baDe har babe
dar-ba-dar kya mujhe phirwaiyega
kyun banawaT se aji rote hain aap
jhuTe moti kise dikhlaiyega
jam saqi se jo manga to kaha
bhar ke ashk aankh mein pi jaiyega
mushaf-e-ruKH ki qasam mein hai maza
hum se quran ye uThwaiyega
KHat ghulami ka nahin ai yusuf
KHat jo nikla hai na sharmaiyega
hum ne yusuf jo kaha kyun bigDe
mol lega koi bik jaiyega
hazrat-e-kaba jo ban jaiye arsh
dil ki wusat na kabhi paiyega
hum bhi aa niklenge masjid mein 'wazir'
KHisht-e-KHum le ke jo banwaiyega
(387) Peoples Rate This