Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek

pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

jal gaya jo naKHl us ko barq aur baran hai ek

dekhne deta nahin us ko hijab-e-ishq hae

hun main wo mahrum jis ko wasl aur hijran hai ek

na-tawani se tere bimar ke ruKHsar par

saili-e-dast-e-sitam aur saya-e-mizhgan hai ek

pairahan mein yun badan hai jis tarah se tan mein ruh

chashm-e-bad dur ab latafat mein wo jism-o-jaan hai ek

mah se tashbih phir tujh ko na kyun kar dijiye

chandni aur saya tera ai mah-e-taban hai ek

aap se behtar ki aage KHud-numai hai zubun

ru-ba-ru-e-mehr mah-o-abr-e-be-baran hai ek

chahiye hans kar chhiDakna ai lab-e-jaanan namak

aatish-e-gham se kabab aur ye dil-e-sozan hai ek

aashiqon ke aage mushrik ai but-e-yakta hun main

gar kahun main husn mein tu aur mah-e-kanan hai ek

saikDon tuti-zaban hain yan asir-e-dam-e-gham

KHana-e-sayyaad aur ye gumbad-e-gardan hai ek

ek hi ye nur hai dil mein har ek ke jalwa-gar

shishe hain lakhon pari sab mein wale pinhan hai ek

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek in PDF.