Chhanta Hai KHak Kya Tu Ghar Banane Ke Liye

chhanta hai KHak kya tu ghar banane ke liye

fikr rahne ki na kar aaya hai jaane ke liye

aur ko kya ranj dun rahat uThane ke liye

ek tinke ko na chheDun aashiyane ke liye

barq thi betab mere aashiyane ke liye

abr se bhi peshtar aae jalane ke liye

kaam aai murgh-e-gulshan ke meri kahidgi

le gaya tinka samajh kar aashiyane ke liye

is chaman se gul chale bulbul gareban phaD kar

hai junun tinke jo chunne aashiyane ke liye

hum ne kyun mangi thi gulshan mein dua-e-josh-e-gul

ab jagah milti nahin hai aashiyane ke liye

phir wahi hum the wahi tum the mohabbat thi wahi

sulh kar lete agar aankhen laDane ke liye

hun wo gham-dida hanse koi to main rone lagun

kuchh bahana chahiye aansu bahane ke liye

saya paD jae agar zulf-e-daraaz-e-yar ka

phir kahun main bhi tasalsul hai zamane ke liye

hun wo diwana ki ban kar ho wo majnun ki shabih

meri miTTi len agar laila banane ke liye

pahunchi hai shane talak kya yar ki zulf-e-rasa

dard kyun paida hua hai mere shane ke liye

jumla-tan hai chashm-e-nargis yar teri did ko

gul hama-tan-gosh hain tere fasane ke liye

yun meri qismat mein tha parwaz karna ya nasib

nochte hain tifl par mere uDane ke liye

kaun hoga tere tiron ka nishana mere baad

KHak le jaana meri tuda banane ke liye

bazm-e-alam mein khaDa hun par chala jata hun main

sikh li hai shama se raftar jaane ke liye

kyun dil-e-betab ko dikhlaya KHal-e-zer-e-zulf

dam mein machhli nahin aane ki dane ke liye

ho agar sar-gashtagi mein fikr-e-tamir-e-makan

KHak uDa lae bagula ghar banane ke liye

ab kisi gul-ru ke dil mein kijiye ghar ai 'wazir'

kya chaman mein tinke chuniye aashiyane ke liye

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhanta Hai KHak Kya Tu Ghar Banane Ke Liye In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Chhanta Hai KHak Kya Tu Ghar Banane Ke Liye is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Chhanta Hai KHak Kya Tu Ghar Banane Ke Liye for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Chhanta Hai KHak Kya Tu Ghar Banane Ke Liye in PDF.