Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin

mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin

zer-e-pa aaya falak aur barha sar par zamin

hai dayar-e-mah-ru ka bas yahi qasid nishan

aasman tujh ko nazar aaegi wan ki sar-zamin

kis taraf jaun ki ho in do balaon se najat

aasman ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin

bari bari ye mujhe pisen ba-rang-e-asiya

aasman din bhar rahe gardish mein to shab-bhar zamin

misl-e-KHurshid aasman jalta hai aah-e-garm se

kanpti hai ThanDi sanson se meri thar-thar zamin

jis jagah hain dafn qatil teri mizhgan ke shahid

wan ewaz sabzi ke paida karti hai nashtar zamin

saikDon is mein gae mahbub ja-e-rashk hai

rakhti hai aaghosh mein kya kya pari-paikar zamin

aatish-e-furqat se aalam kora-e-atish hua

aasman hai dud hum aKHgar mein aur mujmar zamin

ishq-e-KHal-e-yar ne aisa kiya zar-o-nahif

baiThe rahne ko mere kafi hai ab til bhar zamin

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Mere Nalon Se Tah-o-baala Hui Aksar Zamin in PDF.