Main Sarapa Mazhar-e-ism-e-KHuda Wallah Hun

main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

ham-safiro is chaman mein murgh-e-bismillah hun

kis taraf jaun dikha do ya mohamad rah-e-haq

yan har ek gumrah kahta hai main KHizr-e-rah hun

ai masiha teri zulfon ki daraazi dekh kar

kahti hi umr-e-KHizar main gesu-e-kotah hun

aasman par bhi siyah-baKHti mein hai mera dimagh

KHal-e-ru-e-mehr hun dagh-e-jabin-e-mah hun

kah rahi hai aasman se yar ke ghar ki zamin

tur hun sahra-e-aiman hun tajalli-gah hun

baiThna kaisa idhar aaya udhar rahi hua

din jo hun to muKHtasar hun shab jo hun kotah hun

allah allah kya hai in ke panw ki Thokar ka lutf

hai har ek but ki tamanna kash sang-e-rah hun

roz-e-mahshar se 'wazir' afzun hai is kafir ka tul

ab bhi kahti hai shab-e-furqat bahut kotah hun

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sarapa Mazhar-e-ism-e-KHuda Wallah Hun In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Main Sarapa Mazhar-e-ism-e-KHuda Wallah Hun is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Main Sarapa Mazhar-e-ism-e-KHuda Wallah Hun for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Main Sarapa Mazhar-e-ism-e-KHuda Wallah Hun in PDF.