Rahta Hai Mere Dil Mein Tera Nur Raat Din

rahta hai mere dil mein tera nur raat din

ek shoala barq-zan hai sar-e-tur raat din

manind mehr-o-mah hasinon mein hai firaq

kyun ek ek se na rahe dur raat din

hum ne milai aankh ye munh hai sahab ka

jari hai zaKHm-e-chashm ka nasur raat din

tere liye misal-e-mah-o-mehr-o-najm-o-charKH

phirte hain lunj-o-lang-o-kar-o-kor raat din

kuchh gham firaq ka hai na kuchh wasl ki KHushi

hun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din

munh kis ka mera zikr kare us ke ru-ba-ru

rahta hai warna KHalq ka mazkur raat din

KHwahish har aaina hai udhar bhi nazar rahe

go aaina nazar ke hai manzur raat din

dil mein jo bas rahi hai koi naznin hasin

phirti hai meri aankhon mein ek hur raat din

sozish hai dagh-e-hijr mein is se siwa 'waqar'

bharta hun jitna marham-e-kafur raat din

(313) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahta Hai Mere Dil Mein Tera Nur Raat Din In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Rahta Hai Mere Dil Mein Tera Nur Raat Din is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Rahta Hai Mere Dil Mein Tera Nur Raat Din for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Rahta Hai Mere Dil Mein Tera Nur Raat Din in PDF.