Junun Se Khelte Hain Aagahi Se Khelte Hain

junun se khelte hain aagahi se khelte hain

yahan to ahl-e-suKHan aadmi se khelte hain

nigah-e-maikada sab se ziyaada qabil-e-rahm

wo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain

tamam umr ye afsurdagan-e-mahfil-e-gul

kali ko chheDte hain bekali se khelte hain

faraaz-e-ishq nasheb-e-jahan se pahle tha

kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain

naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par

purane rang nai raushni se khelte hain

jo khel jaante hain un ke aur hain andaz

baDe sukun baDi sadgi se khelte hain

'KHizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal

ki jaise rah mein bachche KHushi se khelte hain

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Se Khelte Hain Aagahi Se Khelte Hain In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Junun Se Khelte Hain Aagahi Se Khelte Hain is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Junun Se Khelte Hain Aagahi Se Khelte Hain for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Junun Se Khelte Hain Aagahi Se Khelte Hain in PDF.