Ab Kya Kahen Kisi Se Ye Apni Zaban Se Hum

ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum

be-zar ho chuke hain fareb-e-jahan se hum

nazzara-e-jamal ka aalam ajib tha

madhosh o be-KHabar the wahan be-zaban se hum

ab haal-e-iztirab-e-tabiat na puchhiye

taDpe hain umr bhar tere dard-e-nihan se hum

ye zor-e-barq-o-baad ye tufan al-aman

mahrum ho na jaen kahin aashiyan se hum

jin ki mahak se ruh pe tari hai be-KHudi

wo phul chun rahe hain tere gulistan se hum

tamir-e-nau hai parda-e-taKHrib mein nihan

samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahan se hum

manzil pe ho rahi hain qayamat ki shorishen

ghafil paDe hue hain magar karwan se hum

naseh! KHayal-e-tark-e-mohabbat se faeda

waqif nahin hain kya alam-e-jawedan se hum

ai 'naqsh' muKHtasar ye haqiqat hai maut ki

phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kya Kahen Kisi Se Ye Apni Zaban Se Hum In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Ab Kya Kahen Kisi Se Ye Apni Zaban Se Hum is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Ab Kya Kahen Kisi Se Ye Apni Zaban Se Hum for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Ab Kya Kahen Kisi Se Ye Apni Zaban Se Hum in PDF.