Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi

hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi

honTon pe tabassum bhi hai nazron mein haya bhi

shamil teri aawaz mein taron ki nawa bhi

sharminda tere nur se kirnon ki ziya bhi

mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai

sunta hai koi saz-e-shikasta ki sada bhi

rakhta hai baghawat ke sharare bhi nazar mein

ye ishq jo hai paikar-e-taslim-o-raza bhi

ruKH pher diya tund hawaon ka kisi ne

haalat se apne koi majbur raha bhi

bach kar hi chale hum to zamane ki rawish se

aazad-rawi ka hamein ehsas hua bhi

akasr lab-e-lalin ke tabassum ki kiran ne

ummid ke KHakon mein naya rang bhara bhi

ai 'naqsh' karen soz-e-tamanna ka bayan kya

sau bar diya dil ka jala bhi hai bujha bhi

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi in PDF.