Faeda Kya Tumhein Sunane Ka

faeda kya tumhein sunane ka

maut unwan hai is fasane ka

hum bhi apne nahin rahe ai dil

kis se shikwa karen zamane ka

zindagi chaunk chaunk uTThi hai

zikr sun kar sharab-KHane ka

kis ki aankhon mein aae hain aansu

ruKH badalne laga zamane ka

barq nazron mein kaund uThti hai

nam sunte hi aashiyane ka

'naqsh' kashti ke naKHuda wo hain

lutf hai aaj Dub jaane ka

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faeda Kya Tumhein Sunane Ka In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Faeda Kya Tumhein Sunane Ka is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Faeda Kya Tumhein Sunane Ka for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Faeda Kya Tumhein Sunane Ka in PDF.