Fareb-e-rah Se Ghafil Nahin Hai

fareb-e-rah se ghafil nahin hai

junun gum-karda-e-manzil nahin hai

meri nakaamiyon par hansne wale

tere pahlu mein shayad dil nahin hai

KHuda ko na-KHuda kahne laga hun

safina talib-e-sahil nahin hai

teri bazm-e-tarab mein aa gaya hun

magar dil ko sukun hasil nahin hai

are us ki nigah-e-be-KHabar bhi

mere anjam se ghafil nahin hai

mere zauq-e-safar ka puchhna kya

nigahon mein meri manzil nahin hai

ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh'

guzar jaana koi mushkil nahin hai

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-rah Se Ghafil Nahin Hai In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Fareb-e-rah Se Ghafil Nahin Hai is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Fareb-e-rah Se Ghafil Nahin Hai for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Fareb-e-rah Se Ghafil Nahin Hai in PDF.