Pur-kaif Bahaaron Ne Bhi Dil ToD Diya Hai

pur-kaif bahaaron ne bhi dil toD diya hai

han un ke nazaron ne bhi dil toD diya hai

tufan ka shewa to hai kashti ko Dubona

KHamosh kinaron ne bhi dil toD diya hai

is Dubte suraj se to ummid hi kya thi

hans hans ke sitaron ne bhi dil toD diya hai

kis tarah karen tujh se gila tere sitam ka

madhosh ishaaron ne bhi dil toD diya hai

mana ki thi ghamgin kali KHauf-e-KHizan se

chup rah ke bahaaron ne bhi dil toD diya hai

aghyar ka shikwa nahin is ahd-e-hawas mein

ek umr ke yaron ne bhi dil toD diya hai

ye daur-e-mohabbat bhi ajab daur hai is mein

ai 'naqsh' sahaaron ne bhi dil toD diya hai

(449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pur-kaif Bahaaron Ne Bhi Dil ToD Diya Hai In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Pur-kaif Bahaaron Ne Bhi Dil ToD Diya Hai is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Pur-kaif Bahaaron Ne Bhi Dil ToD Diya Hai for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Pur-kaif Bahaaron Ne Bhi Dil ToD Diya Hai in PDF.