Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-bar Nazar Aae

muddat mein idhar phir wo gul-bar nazar aae

sahra mein bahaaron ke aasar nazar aae

kya raaz-e-mashiyyat tha hum aalam-e-hasti mein

majbur rahe lekin muKHtar nazar aae

masti-bhari aankhon se jab us ne hamein dekha

masrur nazar aae sarshaar nazar aae

dekhe hain mohabbat ke hum ne ye karishme bhi

ek bar chhupe gar wo sau bar nazar aae

phir mast ghaTa chhai phir paDne lagin bunden

phir jam-ba-kaf har-su mai-KHwar nazar aae

madhosh fazaon mein phir qaus-e-quzah damki

phir qamat-e-rangin ke anwar nazar aae

un mast nigahon ne KHud apna bharam khola

inkar ke parde mein iqrar nazar aae

hum baada-paraston ne chheDi jo hadis-e-mai

khulte hue duniya ke asrar nazar aae

har ruh mein dekhi hai ai 'naqsh' KHalish gham ki

har phul ke pahlu mein kuchh KHar nazar aae

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-bar Nazar Aae In English By Famous Poet Mahesh Chandra Naqsh. Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-bar Nazar Aae is written by Mahesh Chandra Naqsh. Read famous Poem Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-bar Nazar Aae for youth and Student by Mahesh Chandra Naqsh. Free Download Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-bar Nazar Aae in PDF.