Na KHauf-e-barq Na KHauf-e-sharar Lage Hai Mujhe

na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe

KHud apne bagh ke phulon se Dar lage hai mujhe

ajib dard ka rishta hai sari duniya mein

kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe

main ek jam hun kis kis ke honT tak pahunchun

ghazab ki pyas liye har bashar lage hai mujhe

tarash leta hun us se bhi aaine 'manzur'

kisi ke hath ka patthar agar lage hai mujhe

(420) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Na KHauf-e-barq Na KHauf-e-sharar Lage Hai Mujhe In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Na KHauf-e-barq Na KHauf-e-sharar Lage Hai Mujhe is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Na KHauf-e-barq Na KHauf-e-sharar Lage Hai Mujhe for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Na KHauf-e-barq Na KHauf-e-sharar Lage Hai Mujhe in PDF.