Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

wo ab bhi paband-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai

darwaze par aahaT sun kar us ki taraf kyun dhyan gaya

aane wali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai

haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain

main ne us se jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai

arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar

shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai

hadd-e-nazar tak sirf dhuan tha barq pe kyun ilzam rakhen

aatish-e-gul se bagh jala ho aisa bhi ho sakta hai

KHun bahana us ka shewa hai to sahi 'manzur' magar

hath pe us ke rang-e-hina ho aisa bhi ho sakta hai

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai in PDF.