Tishna-labi Ne Jab Bhi Zauq-e-amal Diya Hai

tishna-labi ne jab bhi zauq-e-amal diya hai

rindon ne mai-kade ka saqi badal diya hai

duniya hai is ki shahid is shahr-e-be-aman ne

jis mein ana samai wo sar kuchal diya hai

khilte rahe hain jo gul baad-e-KHizan ki shah par

dast-e-saba ne baDh kar un ko masal diya hai

sab ne suni hai jis mein asr-e-rawan ki dhaDkan

'manzur' hum ne aisa saz-e-ghazal diya hai

(478) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishna-labi Ne Jab Bhi Zauq-e-amal Diya Hai In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Tishna-labi Ne Jab Bhi Zauq-e-amal Diya Hai is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Tishna-labi Ne Jab Bhi Zauq-e-amal Diya Hai for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Tishna-labi Ne Jab Bhi Zauq-e-amal Diya Hai in PDF.