Zehn Mein Charaghan Hai Ruh Jagmagai Hai

zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai

sham ke dhundlakon mein yaad teri aai hai

kal KHizan mein diwane be-niyaz-e-daman the

fikr-e-pairahan ab hai jab bahaar aai hai

KHud ulajh gae aaKHir jo chale the suljhane

gesu-e-pareshan se wo shikast khai hai

zulmat-e-shab-e-gham mein zindagi ki rahon par

shama-e-arzu hum ne muddaton jalai hai

tum hi gesuon walo chhanw le ke aa jao

zindagi ki rahon par tez dhup chhai hai

kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti

wo bhi un ko de baiThe aisi mat khai hai

aap roe kyun aaKHir sun ke qissa-e-'manzur'

aap hi bataen to aankh kyun bhar aai hai

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehn Mein Charaghan Hai Ruh Jagmagai Hai In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Zehn Mein Charaghan Hai Ruh Jagmagai Hai is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Zehn Mein Charaghan Hai Ruh Jagmagai Hai for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Zehn Mein Charaghan Hai Ruh Jagmagai Hai in PDF.