Ab KHun Ko Mai Qalb Ko Paimana Kaha Jae

ab KHun ko mai qalb ko paimana kaha jae

is daur mein maqtal ko bhi mai-KHana kaha jae

jo baat kahi jae wo tewar se kahi jae

jo sher kaha jae harifana kaha jae

har honT ko murjhaya hua phul samajhiye

har aankh ko chhalka hua paimana kaha jae

sunsan hue jate hain KHwabon ke jazire

KHwabon ke jaziron ko bhi virana kaha jae

waiz ne jo farmaya tha mehrab-e-haram mein

rindon se wo kyun saqi-e-mai-KHana kaha jae

tapte hue sahra mein bhi kuchh phul khilaen

kab tak lab-o-ruKHsar ka afsana kaha jae

hum subh-e-bahaaran ki tamazat se jale hain

hum se gul o shabnam ka na afsana kaha jae

diwana har ek haal mein diwana rahega

farzana kaha jae ki diwana kaha jae

maKHdum se hum ko bhi hai nisbat wahi 'manzur'

rindon mein jise nisbat-e-paimana kaha jae

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab KHun Ko Mai Qalb Ko Paimana Kaha Jae In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Ab KHun Ko Mai Qalb Ko Paimana Kaha Jae is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Ab KHun Ko Mai Qalb Ko Paimana Kaha Jae for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Ab KHun Ko Mai Qalb Ko Paimana Kaha Jae in PDF.