Aisi TaDap Ata Ho Ke Duniya Misal De

aisi taDap ata ho ke duniya misal de

ek mauj-e-tah-nashin hun mujhe bhi uchhaal de

be-chehragi ki bhiD mein gum hai mera wajud

main KHud ko DhunDhta hun mujhe KHad-o-KHal de

har lahza bante TuTte rishte na hon jahan

pichhli rafaqaton ke wahi mah o sal de

Kashkol-e-zat le ke na jaun main dar-ba-dar

hajat-rawa ho sab ka wo dast-e-sawal de

is dasht-e-pur-sarab mein bhaTkun kahan kahan

zinjir-e-agahi mere pairon mein Dal de

'manzur' ka ye zarf ki kuchh mangta nahin

marzi teri jo chahe use zul-jalal de

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi TaDap Ata Ho Ke Duniya Misal De In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Aisi TaDap Ata Ho Ke Duniya Misal De is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Aisi TaDap Ata Ho Ke Duniya Misal De for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Aisi TaDap Ata Ho Ke Duniya Misal De in PDF.