Zindagi Mein Pahle Itni To Pareshani Na Thi

zindagi mein pahle itni to pareshani na thi

tang-damani thi lekin chaak-damani na thi

jam KHali the magar mai-KHana to aabaad tha

chashm-e-saqi mein taghaful tha pashimani na thi

ghaza-e-gham ek tha the sab ke chehre muKHtalif

ghaur se dekha to koi shakl anjaani na thi

jin safinon ne kabhi toDa tha maujon ka ghurur

us jagah Dube jahan dariya mein tughyani na thi

tujh se ummid-e-wafa KHwab-e-pareshan to na thi

bewafa umr-e-gurezan thi ki tulani na thi

paDh chuka apni ghazal 'manzur' to aisa laga

marsiya tha daur-e-hazir ka ghazal-KHwani na thi

(474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Mein Pahle Itni To Pareshani Na Thi In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Zindagi Mein Pahle Itni To Pareshani Na Thi is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Zindagi Mein Pahle Itni To Pareshani Na Thi for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Zindagi Mein Pahle Itni To Pareshani Na Thi in PDF.