Mamul Pe Sahil Rahta Hai Fitrat Pe Samundar Hota Hai

mamul pe sahil rahta hai fitrat pe samundar hota hai

tufan jo Dubo de kashti ko kashti hi ke andar hota hai

jo fasl-e-KHizan mein kanTon par raqsan-o-ghazal-KHwan guzre the

wo mausam-e-gul mein bhul gae phulon mein bhi KHanjar hota hai

har sham charaghan hota hai ashkon se hamari palkon par

har subh hamari basti mein jalta hua manzar hota hai

ab dekh ke apni surat ko ek choT si dil par lagti hai

guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hota hai

is shahr-e-sitam mein pahle to 'manzur' bahut se qatil the

ab qatil KHud hi masiha hai ye zikr barabar hota hai

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mamul Pe Sahil Rahta Hai Fitrat Pe Samundar Hota Hai In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Mamul Pe Sahil Rahta Hai Fitrat Pe Samundar Hota Hai is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Mamul Pe Sahil Rahta Hai Fitrat Pe Samundar Hota Hai for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Mamul Pe Sahil Rahta Hai Fitrat Pe Samundar Hota Hai in PDF.