Mai-kada-saman Thi Nazron Mein Faza Kal Raat Ko

mai-kada-saman thi nazron mein faza kal raat ko

chha rahi thi un ki zulfon ki ghaTa kal raat ko

har-nafas mangi dua-e-KHair iman ke liye

mere pahlu mein tha ek kafir-ada kal raat ko

wo bahaar-afroz aanchal sad gulistan darkinar

wo bahisht-e-arzu rangin-qaba kal raat ko

aaina-bardar KHuld-e-shauq wo lauh-e-jabin

wo charagh-e-tur ru-e-pur-ziya kal raat ko

wo lab-e-jibril ka partaw hasin tarz-e-kalam

qum-be-izni ka hum eajaz-o-ada kal raat ko

uljhe uljhe se wo fiqre khoi khoi guftugu

sadgi mein wo shararat ka maza kal raat ko

hasil-e-sad-mai-kada 'manzur' tha mere liye

be-irada mera un ka samna kal raat ko

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-kada-saman Thi Nazron Mein Faza Kal Raat Ko In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Mai-kada-saman Thi Nazron Mein Faza Kal Raat Ko is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Mai-kada-saman Thi Nazron Mein Faza Kal Raat Ko for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Mai-kada-saman Thi Nazron Mein Faza Kal Raat Ko in PDF.