Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum

shabnam to bagh mein hai na yun chashm-e-tar ki hum

ghuncha bhi is qadar hai na KHuni jigar ki hum

jun aaftab us mah-e-be-mahr ke liye

aise phire na koi phira dar-ba-dar ki hum

kahta hai nala aah se dekhen to kaun jald

us shoKH sang-dil mein kare tu hai ghar ki hum

hai har dur-e-suKHan pe saza-war gosh-e-yar

moti sadaf rakhe hai par aise guhar ki hum

munh par se shab naqab uTha yar ne kaha

raushan-jamal dekh tu ab hai qamar ki hum

zar kya hai mal tujh pe karen naqd-e-jaan nisar

itna to aur kaun hai ai sim-bar ki hum

ta-zist hum buton ke rahe sath misl-e-zulf

yun umr kis ne ki hai jahan mein basar ki hum

ghussa ho kis pe aae ho jo tewari chaDha

laeq itab ke nahin koi magar ki hum

'bedar' shart hai na palak se palak lage

dekhen to raat ja ke hai ya tu sahar ki hum

(291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Shabnam To Bagh Mein Hai Na Yun Chashm-e-tar Ki Hum in PDF.