Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho

agar allah ki wahdaniyat taslim karte ho

to phir insan ko KHanon mein kyun taqsim karte ho

mohabbat dastaras se lafz-o-mani ki hai baala-tar

miyan tum us ki bhi tashrih aur tafhim karte ho

tumhaara qaul kyunkar mo'atabar Thahre ki tum us mein

kabhi tansiKH karte ho kabhi tarmim karte ho

haqir un ko samajhte ho jo hain tauqir ke qabil

razilon ki magar tazim aur takrim karte ho

baghawat kyun nahin karte KHuda-wandan-e-baatil se

KHuda bar-haq hai is haq ko agar taslim karte ho

agar qabu nahin KHud par to sab be-sud-o-la-hasil

bahadur lakh ho tasKHir haf-iqlim karte ho

in aawara parindon ko pakaD pate ho tum kyunkar

KHayalon ki ai 'rahi' kis tarah tanzim karte ho

(1104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho In English By Famous Poet Mehboob Rahi. Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho is written by Mehboob Rahi. Read famous Poem Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho for youth and Student by Mehboob Rahi. Free Download Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho in PDF.