Paikar-e-sang-o-ahang Jaisa Tanha KhaDa Hun Waise To

paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to

andar TuTa phuTa hun salim lagta hun waise to

zehn ki aankhon par danista paTTi bandhe baiTha hun

sab kuchh dekh raha hun sab kuchh samajh raha hun waise to

kal gumnami ki gahri khai mein bhi gir sakta hun

shohrat ki unchi choTi par aaj khaDa hun waise to

bas ek munafiqat hai jis ki neamat se mahrum hun main

mere yaro main bhi bilkul tum jaisa hun waise to

apne badan ki qaid se lekin chhuTkara na-mumkin hai

bahar ki sari diwaren toD chuka hun waise to

jo tariki mere apne andar thi so qaem hai

galiyon galiyon chand sitare banT raha hun waise to

(503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paikar-e-sang-o-ahang Jaisa Tanha KhaDa Hun Waise To In English By Famous Poet Mehboob Rahi. Paikar-e-sang-o-ahang Jaisa Tanha KhaDa Hun Waise To is written by Mehboob Rahi. Read famous Poem Paikar-e-sang-o-ahang Jaisa Tanha KhaDa Hun Waise To for youth and Student by Mehboob Rahi. Free Download Paikar-e-sang-o-ahang Jaisa Tanha KhaDa Hun Waise To in PDF.