Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai

hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai

ehsas mein hai jitni bhi halchal lahu se hai

shadabiyan usi ki badaulat hain ruh mein

hai regzar-e-jism jo jal-thal lahu se hai

sabit hua ki deta hai tu ye bhi aag si

sabit hua ye soz-e-musalsal lahu se hai

KHake sabhi adhure hain sab naqsh na-tamam

duniya mein jo bhi kuchh hai mukammal lahu se hai

qaem hai us se aariz-e-gulgun ki dilkashi

rangin ruKH-e-hayat ka aanchal lahu se hai

danishwari lahu se mili ek shaKHs ko

ek aur shaKHs hai ki jo pagal lahu se hai

'rahi' wagarna zehn hai tarikiyon ka ghar

raushan KHayal-o-fikr ki mashal lahu se hai

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai In English By Famous Poet Mehboob Rahi. Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai is written by Mehboob Rahi. Read famous Poem Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai for youth and Student by Mehboob Rahi. Free Download Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai in PDF.