Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD

gar unhen hai apni surat par ghamanD

hum ko hai apni mohabbat par ghamanD

mere un ke phir bhala kyun-kar bane

KHatm hai donon ki KHaslat par ghamanD

kya nahin dekhi bulandi aah ki

kyun falak karta hai rifat par ghamanD

kaam qarun ke na aaya mal-o-zar

munimo beja hai daulat par ghamanD

baadshah-e-haft-kishor hai to kya

kar na do din ki hukumat par ghamanD

dekh kar aaina mujh ko dang hai

mujh ko bhi hai apni hairat par ghamanD

un ko apni subh-e-mahshar par hai naz

hum ko apni sham-e-furqat par ghamanD

chhup-chhupa kar dekh bhi lenge tumhein

hum ko bhi hai apni jurat par ghamanD

kuchh nahin kar sakta 'anjum' aap ka

aasman ko hai jo hasrat par ghamanD

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD in PDF.