Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko Duniya Dekhi

yun to in aankhon se hum ne o but kahne ko duniya dekhi

lekin sari KHudai bhar teri surat-e-yakta dekhi

khel gae kyun jaan pe 'anjum' tum ne abhi kya duniya dekhi

marne lage KHuban-e-jahan par teri meri dekha-dekhi

dard-e-jigar kam tha ki nahin tha ye to bata dam tha ki nahin tha

kah to mariz mein kuchh bhi dekha nabz jo tu ne masiha dekhi

us ko bhala kyunkar chain aaya dil ko kya kah kar samjhaya

surat teri jis ne sitam-gar tham ke apna kaleja dekhi

wasl ki shab barham hi raha wo ta-ba-sahar uljha hi kiya wo

bal na gaya abru se us ki zulf bhi hum ne suljha dekhi

wah-re-wa ai nala-e-sozan dekh li teri ThanDi garmi

dil na pasija us kafir ka aag bhi tu ne bhaDka dekhi

us ke dil se gai na kudurat dil ki dil hi mein rah gai hasrat

hum ne jhaDi ashkon ki barson in aankhon se barsa dekhi

ek zara se hashr pe waiz us ko Daraata allah allah

jis ne buton ki gali mein barson roz-e-qayamat barpa dekhi

jaisi zist hamari guzri dushman ki bhi yun na basar ho

'anjum' hazrat-e-dil ki badaulat hum ne musibat kya kya dekhi

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko Duniya Dekhi In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko Duniya Dekhi is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko Duniya Dekhi for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Yun To In Aankhon Se Humne O But Kahne Ko Duniya Dekhi in PDF.