Aaj Mehndi Lagae BaiThe Hain

aaj mehndi lagae baiThe hain

KHub wo rang lae baiThe hain

mere aate hi ho gae barham

kuchh kasi ke sikhae baiThe hain

tegh khinchi hai qatl par mere

hath mujh se uThae baiThe hain

main shikayat jafa ki karta hun

chupke wo sar jhukae baiThe hain

dum churae hue paDe hain hum

wo jo baalin pe aae baiThe hain

imtihan ko kaha to bole wo

hum tumhein aazmae baiThe hain

kas ko nazron se aaj utarenge

kyun wo tewari chaDhae baiThe hain

dekhiye kab wo shama-ru aae

sham se lau lagae baiThe hain

Talna wasl ka jo hai manzur

KHud se KHud munh thuthae baiThe hain

sada-pan mein hazar jauban hai

baal khole nahae baiThe hain

kaun pahlu se uTh gaya 'anjum'

aap kyun dil dabae baiThe hain

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Mehndi Lagae BaiThe Hain In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Aaj Mehndi Lagae BaiThe Hain is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Aaj Mehndi Lagae BaiThe Hain for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Aaj Mehndi Lagae BaiThe Hain in PDF.