Mere Jaanib Se Use Ja Ja Ke Samjhate Hain Log

mere jaanib se use ja ja ke samjhate hain log

wo nahin sunne ka zid be-kar dilwate hain log

shola-KHu mera sune mujh dil-jale ka haal kyun

aag mein aag aur bhi nahaq laga aate hain log

mere marne par unhen kyun rashk se puchho koi

kyun sar-e-baalin mere be-kar chillate hain log

koi kahta hai tujhe jallad koi sang-dil

teri jaanib se mujhe aa aa ke dhamkate hain log

main na jita hun na marta hun sisakta hun paDa

jhuT sach qasmen tumhaare samne khate hain log

dosti ke parde mein karte hain mujh se dushmani

tum ko phir agli jafaen yaad dilwate hain log

teri mahfil mein mera aana jo un ko bar hai

chheD kar tujh ko mujhe baaten hi sunwate hain log

tum se aur wada wafa ho ye hamein bawar nahin

qasmen de kar tum ko nahaq jhuT bulwate hain log

baz aaya aasman in ki hawa-KHwahi se main

aag dil ki aur bhi aa aa ke bhaDkate hain log

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Jaanib Se Use Ja Ja Ke Samjhate Hain Log In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Mere Jaanib Se Use Ja Ja Ke Samjhate Hain Log is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Mere Jaanib Se Use Ja Ja Ke Samjhate Hain Log for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Mere Jaanib Se Use Ja Ja Ke Samjhate Hain Log in PDF.