Lutf Ho Gar Tu Ho Aur Mai-KHana Ho

lutf ho gar tu ho aur mai-KHana ho

main hun aur mera dil-e-diwana ho

jis zaban par ho tera afsana ho

koi ho apna ho ya begana ho

yan to hai didar se teri gharaz

dair ho kaba ho ya but-KHana ho

jis ko dekha jalte hi dekha yahan

shama ho aashiq ho ya parwana ho

hum ko to do-gaz zamin darkar hai

shahr ho basti ho ya virana ho

daur-e-saqi mein kise gardish nahin

shisha ho saghar ho ya paimana ho

kya qayamat ho jo 'anjum' hashr mein

koi saudai koi diwana ho

(339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf Ho Gar Tu Ho Aur Mai-KHana Ho In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Lutf Ho Gar Tu Ho Aur Mai-KHana Ho is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Lutf Ho Gar Tu Ho Aur Mai-KHana Ho for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Lutf Ho Gar Tu Ho Aur Mai-KHana Ho in PDF.