Sawal Kya Karun Tujhse Gunahgar Hun Main
sawal kya karun tujh se gunahgar hun main
nigah chaar ho kyun-kar ki sharmsar hun main
rawana rakh ki jahan mein zalil-o-KHwar hun main
jo hun so hun pa tere dar ka KHaksar hun main
paDa hua hun buton ki gali mein dil thame
saba sambhal ke zara chal nahif-o-zar hun main
kasi se matlab-e-dil mera hal nahin hota
sawal-e-masala-e-jabr-o-iKHtiyar hun main
jafa-o-zulm us ke gila karun kyun-kar
sitam-shiar hai wo aur wafa-shiar hun main
tumhin batao kare sabr kab talak koi
na har kasi se hanso tum na ashk-bar hun main
isi ko kahte hain ya-rab nasib ki yari
ki yar wo bhi na ho aur be-dayar hun main
wafa ka lutf mile gar hazar jaanen hon
nisar tujh pe meri jaan hazar bar hun main
zaban ho band zaban se agar sawal karun
qalam hon hath agar muddaa-nigar hun main
ilahi jazb-e-mohabbat mein de asar itna
kaleja tham le wo bhi jo be-qarar hun main
hazar apni kahun us ki ek bhi na sunun
KHuda wo din kare us se kahin do-chaar hun main
main mast-e-baada-e-hubb-e-ali hun ai 'anjum'
kabhi bahak na sake jo wo baada-KHwar hun main
(414) Peoples Rate This