Sare Aalam Mein Nur Hai Tera
sare aalam mein nur hai tera
har jagah par zuhur hai tera
sharq se gharb qaf se ta-qaf
tazkira dur dur hai tera
dil-e-ashiq ko kyun jalata hai
ye bhi kya koh-e-tur hai tera
main kahan aur tera nam kahan
sab karam ka wafur hai tera
shab-e-furqat ko kyun daraaz kiya
kya ye roz-e-nushur hai tera
us sitamgar ka kya karen shikwa
o re dil sab qusur hai tera
rahm kar aasman pe ai bari
banda-e-pur-qusur hai tera
is ko kahte hain anjum-e-asi
nam rabb-e-ghafur hai tera
(354) Peoples Rate This