Humse Na Hogi Tark-e-wafa Ye Aur Kisi Ko Sunaen Aap

hum se na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap

hum na sunenge hazrat-e-naseh lakh hamein samjhaen aap

sharm-o-haya ke parde mein karte the hum pe jafaen aap

aap ko hum pahchan gae munh aanchal se na chhupaen aap

zulf ka tere in se koi mazmun jo raqam ho jata hai

fart-e-KHushi se le leta hun hathon ki apne bulaen aap

wah-ji wa bas dekh liya kya waza ki hai yahi pabandi

kahte is ko hain sharm-o-haya hum jaan se jaen na aaen aap

sun chuke haal-e-pursish-e-mahshar waz ki 'anjum' had bhi hai

ye to nahin hai hukm-e-KHuda roz ek qayamat Dhaen aap

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Na Hogi Tark-e-wafa Ye Aur Kisi Ko Sunaen Aap In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Humse Na Hogi Tark-e-wafa Ye Aur Kisi Ko Sunaen Aap is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Humse Na Hogi Tark-e-wafa Ye Aur Kisi Ko Sunaen Aap for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Humse Na Hogi Tark-e-wafa Ye Aur Kisi Ko Sunaen Aap in PDF.