Anjum Tumhein Ulfat Abhi Karna Nahin Aata

'anjum' tumhein ulfat abhi karna nahin aata

har ek pe marte ho pa marna nahin aata

aalam ke hasin bharte hain aankhon mein tumhaari

dam ishq ka bharte ho pa bharna nahin aata

hum jaan hi se apni guzar jaen to behtar

haT-darmi se un ko jo guzarna nahin aata

lo nam-e-KHuda hum se banate hain wo baaten

jin ko ki abhi baat bhi karna nahin aata

kahte ho meri lash pe mara hai ye kis ka

kyun ji yahi kahte the mukarna nahin aata

bikhre hue baalon mein bhi hain lakh adaen

alhaD ko abhi mere sanwarna nahin aata

kya wasl ki shab kaTi hai fiqre hi bata kar

sach hai ki tumhein baat katarna nahin aata

aisa tu hamein pis ki hon aankhon ka surma

ai charKH tujhe jaur bhi karna nahin aata

haq ye hai ki anjum tera dil Thahre to kyun-kar

sine pe unhen hath bhi dharna nahin aata

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjum Tumhein Ulfat Abhi Karna Nahin Aata In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Anjum Tumhein Ulfat Abhi Karna Nahin Aata is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Anjum Tumhein Ulfat Abhi Karna Nahin Aata for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Anjum Tumhein Ulfat Abhi Karna Nahin Aata in PDF.