Rang Badla Hai Kai Din Se Mizaj-e-yar Ka
rang badla hai kai din se mizaj-e-yar ka
joD shayad chal gaya phir aaj kal aghyar ka
kas qadar paya saweda-e-dil-e-ashiq ne auj
rafta rafta til bana aaKHir tere ruKHsar ka
ab to aa kar dekh jaana chahiye tujh ko zarur
haal hai nau-e-digar isa tere bimar ka
be-KHudi mein zaKHm-e-dil par jabki paDti hai nazar
hota hai dhoka tumhaare rauzan-e-diwar ka
haal-e-dard-e-dil bayan kis se karun main bad-nasib
tu hi jab pursan na ho le mere haal-e-zar ka
baat karna ho gaya mushkil buton ke samne
paD gaya phanda gale mein rishta-e-zunnar ka
ho gaya hun na-tawan aisa tumhaare hijr mein
toDna mushkil hua hai aansuon ke tar ka
ek faqat tere kashida hone se ye haal hai
bhagta hai saya tak mujh se teri diwar ka
na-tawan aisa hun pis kar KHak ho jaun abhi
saya paD jae agar mujh par teri diwar ka
ab to surat apni dikhlao KHuda ke waste
dam nikalta hai tumhaare talib-e-didar ka
apni kam-fahmi se 'anjum' hum nihayat tang hain
zehn mein aata nahin mazmun dahan-e-yar ka
(408) Peoples Rate This