Sanam Hai Ya KHuda Kya Jaane Kya Hai
sanam hai ya KHuda kya jaane kya hai
hamara dilruba kya jaane kya hai
na sumbul hai na kala hai na nagin
tari zulf-e-rasa kya jaane kya hai
kasi pahlu nahin aaram tujh ko
tujhe ai dil hua kya jaane kya hai
nahin malum kaba hai ki qibla
KHam-e-abru tera kya jaane kya hai
mera dil loge tum ya jaan loge
tumhaara indiya kya jaane kya hai
jafaon se teri bharna nahin dil
taDapne mein maza kya jaane kya hai
hamein to us se hai ummid-e-baKHshish
magar us ki raza kya jaane kya hai
nazar pheri nahin tu ne to hum se
ye phir ishwa-numa kya jaane kya hai
tasawwur mein jo ki hain band aankhen
dikhai de raha kya jaane kya hai
bhala tu aashna hoga kasi ka
are na-ashna kya jaane kya hai
qayamat hai qad-e-baala tumhaara
nigah-e-fitna-ra kya jaane kya hai
nikalta hai dhuan jo aah ke sath
ye ai dil jal raha kya jaane kya hai
bhala main kya use batlaun 'anjum'
wo mujh se puchhta kya jaane kya hai
(345) Peoples Rate This