KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain

KHuda KHuda kar ke aae bhi wo to munh lapeTe paDe hue hain

na kahte hain kuchh na sunte hain kuchh kasi se jaise laDe hue hain

hazar-ha mannaten karenge lipaT ke qadmon pe sar dharenge

na jaane denge na jaane denge abas wo bigDe khaDe hue hain

sawal karte hain mujh se kya kya pae-KHuda mere rahbar aa

paDa main takta hun tera rasta nakir-o-munkir khaDe hue hain

rahi jo un se tumhein kudurat to baDh gai wahshiyon ki wahshat

uDai is darja KHak-e-hasrat kamar kamar tak gaDe hue hain

idhar to jine se hum hain aari udhar mangate ho tum sawari

ye kaisi hain garmiyan tumhaari phaphule dil mein paDe hue hain

farebi aankhen rasili chitwan ada ishaara nigah rahzan

ye apne do tin hain jo dushman nazar mein anjum taDe hue hain

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain in PDF.