Umid-e-mehr Par Ek Hasrat-e-dil Hum Bhi Rakhte The

umid-e-mehr par ek hasrat-e-dil hum bhi rakhte the

tamanna wasl ki ai mah-e-kaamil hum bhi rakhte the

kabhi gulzar dagh-e-ishq se dil hum bhi rakhte hai

kabhi ek taza gulshan ai anadil hum bhi rakhte the

kisi din to wo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hota

ki aaghosh-e-tamanna shakl-e-sahil hum bhi rakhte the

alag tu bazm se uTh kar jo sun leta to kah dete

ki kuchh kuchh iltija ai zeb-e-mahfil hum bhi rakhte the

hamein be-maut kyun mara ajal tu kis liye aai

hawa-e-bosa-e-shamshir-e-qatil hum bhi rakhte the

hamare dil ka uqda kyun na ai ghuncha-dahan khola

hawas bose ki thi thoDi si mushkil hum bhi rakhte the

karen ab kya kahan DhunDhen ganwaya ku-e-gesu mein

kabhi yaadash-ba-KHair ai hamdamo dil hum bhi rakhte the

hamara imtihan o qadar-andaz lazim tha

dil-e-majruh-o-muztar jaan-e-bismil hum bhi rakhte the

kiya pamal us ko kyun na tum ne sath sabze ke

tumhaare zer-e-pa ai jaan-e-jaan dil hum bhi rakhte the

nahin ab kasrat-e-dagh-e-junun se laeq-e-hadiya

kabhi dil peshkash karne ke qabil hum bhi rakhte the

haqarat se na dekho aaj hum ko ai pari-ruyo

kabhi tum sa koi zohra-shamail hum bhi rakhte the

ajab hai kya hui ulfat wo ai jaan donon jaanib ki

yahi dil tum bhi rakhte the yahi dil hum bhi rakhte the

yunhi shab bhar jala karte the yaad-e-shoala-e-ruKH mein

yahi sozish kabhi ai sham-e-mahfil hum bhi rakhte the

lab-e-jaan-baKHsh par kya fauq dete chashm-e-fattan ko

ki 'anjum' kuchh tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umid-e-mehr Par Ek Hasrat-e-dil Hum Bhi Rakhte The In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Umid-e-mehr Par Ek Hasrat-e-dil Hum Bhi Rakhte The is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Umid-e-mehr Par Ek Hasrat-e-dil Hum Bhi Rakhte The for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Umid-e-mehr Par Ek Hasrat-e-dil Hum Bhi Rakhte The in PDF.