Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai

hamein zahid jo kafir jaanta hai

to phir patthar ko tu kyun manta hai

na puchha us ne mujh ko kaun hai tu

hua sabit ki wo pahchanta hai

na mujh se pher munh kafir KHudara

are quran kyun gardanta hai

kahun kis se ki kya hai yar mera

use kuchh mera ji hi jaanta hai

bahut chaha na bolun yar tujh se

magar zalim ye dil kab manta hai

nahin chhalni hamara dil na hoga

hamari baat kyun tu chhanta hai

na denge jaan hum kahne pe us ke

raqib-e-ru-siyah kyun tanta hai

bhala kyun-kar use samjhae koi

wo kafir kab kisi ki manta hai

ghazab hai chheDna us fitna-gar ko

ye 'anjum' dil mein kya tu Thanta hai

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Hamein Zahid Jo Kafir Jaanta Hai in PDF.