Chale Aao Agar Dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-faur Maraz

chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz

ki nahin hai ba-juz bimari-e-gham meri jaan mujhe koi aur maraz

nahin kahta main tum se ki chaara karo magar aa ke kabhi kabhi dekh to lo

ki samajhta nahin hai tabib koi hai tumhaare hi qabil-e-ghaur maraz

mere isa-dam mere be-parwa na ilaj se mere hath uTha

nahin bachne ka ye mariz tera ki hai baDhta chala be-taur maraz

nahin is ka tajjub yaro agar mere dil mein dard ho rah rah kar

kare ghaflat isi-e-dauran jab tu na bandhe kyun-kar daur maraz

tujhe 'anjum' dard-e-firaq bhala kyun chain se uThne baiThne de

wo masih na jab kuchh rahm kare kare kyun na jafa-o-jaur maraz

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Aao Agar Dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-faur Maraz In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Chale Aao Agar Dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-faur Maraz is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Chale Aao Agar Dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-faur Maraz for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Chale Aao Agar Dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-faur Maraz in PDF.