Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan

misal-e-charKH raha 'asman' sar-gardan

par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai

yahan to kaam tamanna hi mein tamam hua

magar unhon ne na puchha ki aarzu kya hai

ye bahs kasrat o wahdat ki hum se kyun waiz

hamari aankhon se tu dekh chaar-su kya hai

koi to chahiye raKHna umid-wari ko

barae-chaak-e-jigar hajat-e-rafu kya hai

masal jahan mein hai mushte namuna az-KHurwar

jo haT-dharam nahin tum ho to haT ki KHu kya hai

gawah hain ye teri bahki bahki baaton ke

ye jam kya hai ye mai kya hai ye subu kya hai

tumhaare dant nahin hire ki hain ye kaniyan

tumhaare samne moti ki aabru kya hai

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan in PDF.