HaTa Do Chehre Se Gar DupaTTa Tum Apne Ai Lala-fam Aadha

haTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha

to ho ye sabit ki nikla abr-e-siyah se mah-e-tamam aadha

hua to hai tere hijr mein dil hamara jal kar kabab saqi

kasar agar hai to itni hi hai ki puKHta aadha hai KHam aadha

yahan to dil ko mere jalaya wahan jalaenge jism mera

ye hashr par kyun uTha rakha hai huzur ne intiqam aadha

hamari ulfat ka zikr sun kar adu nikale bhi shiq to kyun-kar

ki lafz-e-shiq mein bhi to ye shiq hai ki hai ye aashiq ka nam aadha

ye charke de de ke tu ne mujh ko jo nim-jaan kar rakha hai nahaq

halal kar Dal ab to zalim hua hai jina haram aadha

ye kaisi dariya-dili hai saqi hawas bhi dil ki hui na puri

jo ki inayat bhi to adhuri agar diya bhi to jam aadha

nazar jo paD jae us ke qamat pe bas qayamat hi aae 'anjum'

zamin mein gaD jae sarw KHajlat se us ki waqt-e-KHiram aadha

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HaTa Do Chehre Se Gar DupaTTa Tum Apne Ai Lala-fam Aadha In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. HaTa Do Chehre Se Gar DupaTTa Tum Apne Ai Lala-fam Aadha is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem HaTa Do Chehre Se Gar DupaTTa Tum Apne Ai Lala-fam Aadha for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download HaTa Do Chehre Se Gar DupaTTa Tum Apne Ai Lala-fam Aadha in PDF.