Kyun KHud-baKHud Phiri Nigah-e-yar Kya Sabab

kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kya sabab

kyun sar-nigun hai aabru-e-KHam-dar kya sabab

qismat palaT gai ki nasiba ulaT gaya

kyun KHud-baKHud phiri nigah-e-yar kiya sabab

kya aa gaya qarib zamana visal ka

kyun be-qarar hai ye dil-e-zar kya sabab

taqat kahan se aa gai is na-tawan mein aaj

dam toDta jo hai dil-e-bimar kya sabab

kis se laDi nigah ye kis par itab hai

hote hain band rauzan-e-diwar kya sabab

furqat ki raat roz-e-qayamat kahin na ho

hoti nahin jo subh-e-shab-e-tar kya sabab

'anjum' gae the un ko sunane ki waste

phir haal-e-dil kiya jo na izhaar kya sabab

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun KHud-baKHud Phiri Nigah-e-yar Kya Sabab In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Kyun KHud-baKHud Phiri Nigah-e-yar Kya Sabab is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Kyun KHud-baKHud Phiri Nigah-e-yar Kya Sabab for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Kyun KHud-baKHud Phiri Nigah-e-yar Kya Sabab in PDF.