Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai

ye bhi na puchha tum ne 'anjum' jita hai ya marta hai

wah-ji-wa aashiq se koi aisi ghaflat karta hai

nai jawani nae-nawele nadan allaDh aur albele

sach puchho to tum ko sahib dil dete ji Darta hai

puchhte kya ho haal hamara jine ka hai kaun sahaara

ro lete hain ji bhar bhar kar jab gham se ji bharta hai

un se nahin kuchh shikwa hum ko un se nahin kuchh ranj-o-malal

kis se ai dil ishq kiya kis se chah ko barta hai

rote rote hijr mein kyun-kar jine se dil ser na ho

kahte hain talab bhi sahib phewan phewan bharta hai

mujh ko to dil dene mein kuchh uzr nahin ai jaan-e-jahan

sach to ye hai dil hi KHud kuchh aaga pichha karta hai

sail-e-sarishk-e-gham se 'anjum' KHana-e-dil barbaad na ho

dekho dekho kaba ki buniyaad mein pani marta hai

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Ye Bhi Na Puchha Tumne Anjum Jita Hai Ya Marta Hai in PDF.