Shabih-e-KHanjar-e-qatil Bana Kar

shabih-e-KHanjar-e-qatil bana kar

rakkhi sine mein hum ne dil bana kar

junun dil ko na mere baiThne de

uTha de mast-e-la-yaqil bana kar

nigah-e-bad ka andesha hai mujh ko

wo baiThe hain jabin par til bana kar

jo qabu tujh pe hota mera ai jaan

tujhe pahlu mein rakhta dil bana kar

Daraya pursish-e-mahshar se nahaq

pasheman hun tujhe qatil bana kar

uThaya hashr mein bhi mujh ko us ne

sawal-e-did ka sail bana kar

uDa le chal hawa-e-shauq mujh ko

ghubar-e-rahraw-e-manzil bana kar

nikala aarzu-e-dil ko 'anjum'

tamanna-e-dil-e-bismil bana kar

(328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabih-e-KHanjar-e-qatil Bana Kar In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Shabih-e-KHanjar-e-qatil Bana Kar is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Shabih-e-KHanjar-e-qatil Bana Kar for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Shabih-e-KHanjar-e-qatil Bana Kar in PDF.