Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair

ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair

jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe baghair

kahte hain jab rahi na mujhe taqat-e-suKHan

jaanun kisi ke dil ki main kyunkar kahe baghair

kaam us se aa paDa hai ki jis ka jahan mein

lewe na koi nam sitamgar kahe baghair

ji mein hi kuchh nahin hai hamare wagarna hum

sar jae ya rahe na rahen par kahe baghair

chhoDunga main na us but-e-kafir ka pujna

chhoDe na KHalq go mujhe kafar kahe baghair

maqsad hai naz-o-ghamza wale guftugu mein kaam

chalta nahin hai dashna-o-KHanjar kahe baghair

har chand ho mushahida-e-haq ki guftugu

banti nahin hai baada-o-saghar kahe baghair

bahra hun main to chahiye duna ho iltifat

sunta nahin hun baat mukarrar kahe baghair

'ghaalib' na kar huzur mein tu bar bar arz

zahir hai tera haal sab un par kahe baghair

(1224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahe Baghair in PDF.