Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse

kabhi neki bhi us ke ji mein gar aa jae hai mujh se

jafaen kar ke apni yaad sharma jae hai mujh se

KHudaya jazba-e-dil ki magar tasir ulTi hai

ki jitna khinchta hun aur khinchta jae hai mujh se

wo bad-KHu aur meri dastan-e-ishq tulani

ibarat muKHtasar qasid bhi ghabra jae hai mujh se

udhar wo bad-gumani hai idhar ye na-tawani hai

na puchha jae hai us se na bola jae hai mujh se

sambhalne de mujhe ai na-ummidi kya qayamat hai

ki daman-e-KHayal-e-yar chhuTa jae hai mujh se

takalluf bartaraf nazzargi mein bhi sahi lekin

wo dekha jae kab ye zulm dekha jae hai mujh se

hue hain panw hi pahle nabard-e-ishq mein zaKHmi

na bhaga jae hai mujh se na Thahra jae hai mujh se

qayamat hai ki howe muddai ka ham-safar 'ghaalib'

wo kafir jo KHuda ko bhi na saunpa jae hai mujh se

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Kabhi Neki Bhi Uske Ji Mein Gar Aa Jae Hai Mujhse in PDF.