Daman Daraaz Kar To Rahe Ho Duaon Ke

daman daraaz kar to rahe ho duaon ke

dhabbe bhi hain nigah mein apni qabaon ke

sine mein soz-e-marg-e-tamanna na puchhiye

marghaT mein jaise uThte hon shoale chitaon ke

hum ne to kashtiyon ko Dubona kiya qubul

mannat-guzar ho na sake na-KHudaon ke

duniya ne un pe chalne ki rahen banai hain

aae nazar jahan bhi nishan mere panw ke

sahra ke KHushk sine se chashma ubal paDa

ragDe lage jo nanhe se bachche ke panw ke

buDha sa ek peD wo ab sahn mein nahin

hum ne uThae faiz sada jis ki chhanw ke

pi lo 'amir' ab mai-e-irfan-o-agahi

kyun jal mein phanse ho majazi KHudaon ke

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman Daraaz Kar To Rahe Ho Duaon Ke In English By Famous Poet Mohammad Amir Azam Quraishi. Daman Daraaz Kar To Rahe Ho Duaon Ke is written by Mohammad Amir Azam Quraishi. Read famous Poem Daman Daraaz Kar To Rahe Ho Duaon Ke for youth and Student by Mohammad Amir Azam Quraishi. Free Download Daman Daraaz Kar To Rahe Ho Duaon Ke in PDF.