Kabhi Mahr-o-mah-o-nujum Se Kabhi Kahkashan Se Guzar Gaya

kabhi mahr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya

main teri talash mein aaKHirash had-e-la-makan se guzar gaya

ye tafaut-e-sanam-o-haram hai tabhi ki jab bhi nasha ho kam

jo bhi gharq-e-baada-e-haq hua gham-e-in-o-an se guzar gaya

kabhi shahr-e-husn-e-KHayal se kabhi dasht-e-huzn-o-malal se

tere ishq mein tere pyar mein main kahan kahan se guzar gaya

teri rahguzar meri rahguzar tere naqsh-e-pa meri rah par

tu jahan jahan se guzar gaya main wahan wahan se guzar gaya

rah-e-zindagi mein maqam wo mujhe bar-ha mile dosto

ki KHirad ka panw phisal gaya hai junun jahan se guzar gaya

mera jism kya meri ruh kya nahin koi zaKHmon ki intiha

ai 'amir' tir-e-nigah-e-husn kahan kahan se guzar gaya

(1976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Mahr-o-mah-o-nujum Se Kabhi Kahkashan Se Guzar Gaya In English By Famous Poet Mohammad Amir Azam Quraishi. Kabhi Mahr-o-mah-o-nujum Se Kabhi Kahkashan Se Guzar Gaya is written by Mohammad Amir Azam Quraishi. Read famous Poem Kabhi Mahr-o-mah-o-nujum Se Kabhi Kahkashan Se Guzar Gaya for youth and Student by Mohammad Amir Azam Quraishi. Free Download Kabhi Mahr-o-mah-o-nujum Se Kabhi Kahkashan Se Guzar Gaya in PDF.